ਸਤਿਗੁਰਬਚਨਕਮਾਵਣੇਸਚਾਏਹੁਵੀਚਾਰੁ॥
Welcome! Log In Create A New Profile

Advanced

Hunar Nahi Aaya (Poem)

Posted by jaskirat 
Hunar Nahi Aaya (Poem)
October 26, 2014 12:42AM
Hunar Nahi Aaya (Poem)



Ya Khuda, Kyun Ab Tak Mere Sajde Ka Jawab Nahi Aaya,
Shayad, Adab Se Jhukne Ka Mujhe Abhi Hunar Nahi Aaya,

Nit Tera Nem To Kiya, Jaane Kyun Mann Tik Nahi Paya,
Tujhse Guftagoo Karne Ka Mujhe Abhi Hunar Nahi Ayaa,

Tamaam Koshishon Ke Bawajood Amritvele Uth Nahi Paya,
Uthne Se Phele Sone Ka Mujhe Abhi Hunar Nahi Aaya,

Milne Tujhe Tere Dar Pe Gaya, Wahan Bhi Koi Mujhe Nazar Nahi Aaya,
Maqsood Nigahon Se Tujhe Dekhne Ka Mujhe Abhi Hunar Nahi Aaya,

Jitni Mehnat Se Maya Kama Ke Ye Mitti Ka Gharonda Hai Banaya,
Itni Shiddat Se Rehit Kamane Ka Mujhe Abhi Hunar Nahi Aaya,

Bade Prem Se Sangat Ke Jode Jhad Jhad Ke Maine Khoob Chamkaya,
Mann Ko Jhad Ke Hira Kar Loon Ye Mujhe Abhi Hunar Nahi Aaya,

Daswandh Dene Ka Silsila To Saalon-Saal Chalta Aaya,
Sab Kuch Gawa Ke Paane Ka Mujhe Abhi Hunar Nahi Aaya,

Doosron Ko Updesh Dene Ka Mujhe Shauk To Khoob Ban Hai Aaya,
Apne Guru Ka Ek Bachan Kama Loon Ye Mujhe Abhi Hunar Nahi Aaya,

Bepanah Tamanna To Hai Ki Sachkhand Mein Miley Tera Saaya,
Itne Jalal Se Teri Ibadat Karne Ka Mujhe Abhi Hunar Nahi Aaya,

Ye Aur Baat Hai Ke Kisi Cheez Ka Mujhe Abhi Hunar Nahi Aaya,
Par Shikast Woh Bhi Nahi Khate Jo Ek Baar Khande Ki Pahul Chak Aaya,

Kareem Ke Deedaar Aur Ram Mein Ramm Jaane Ka Junoon He Kuch Ab Aisa Hai Chaya,
Umeed Buland Hai Aur Justuju Lajawab Hai, Ek Qadar Ke Aasre Maine Sab Kuch Tikaya.





Bhul Chuk Maaf.

Waheguru Ji Ka Khalsa,
Waheguru Ji Ki Fateh.
Reply Quote TweetFacebook
Sorry, only registered users may post in this forum.

Click here to login